Wednesday, 11 June 2014

Wajood - khatre me

kal raat 1 toofan aaya,
jisne mjhe,
mere wajood ko,
ahko ko mere
bouna thehraya,
tha kaapta raha mai
samne usk dono hatho ko jod
magar wo toofan,
bawandar bankar,
sunami ki tarah mujh par hi tharraya..
tha kasoor itna ki
apni imaandari ka maara raha main
jndgi bhar sbse
sbhi k liye haara mai
q na jane
har shaks k liye tha mera man b khilona ek..
na jane kaise sare viphal ho gaye
karya, sampoorn mere anek
mai hara hu,
kamjor hu
toot b gaya hu
shayad sada k liye
magar mai bujdil ni..
tha galat to rokna to chahiye tha
tha ghranit to tokna to chahiye tha
mere wajood ko khatre me na daalkar
mjhse bolna to chahiye tha
hu mai b layak is jamane me bolne ka hak liye..
fir b sabne khamosh saja di mujhe tadapne k liye..
tootkar bikharne k liye..
aaj fir aakhri baar hai
mera wajood khatre me..

JARURAT HAI..

jarurat hai pehchanne ki..
Apne desh aur samvidhan ki badi ijjat karta hu,
kanoon ki b bhut kadr hai mujhe,
lekin kya isk badlav k liye koi adhyadesh ni laana chahiye..
Hamare yaha niyam h ki yadi chor aaya h to phle police ko bulao,
usko marna kanoon k khilaf h,
yadi self defence me aap kisi ko chaku maar dete h to aap pe non-intentional murder ka case banega..
yadi aapki bahu-beti ko koi chhed raha h to aap police ko bataiye, wo kahenge next time aisa kuch hyo to aap turant hame phone kre..
har kisi ko har bat ka saboot chahiye..
khte h k
Sach ko saboot ki jarurat ni hota,
wo apne aap ujagar hota h,
lekin mai khta hu k aaj sach ko hi saboot ki jarurat hai..
warna ham muh uthakar jeete aur khte ham sachhe h,
aaj koi ni keh sakt a k wo sachha h..
aur jo keh raha h wahi sabse bada jhootha h..
to sachha kaun h??
samvidhan, kanoon, mai ya aap??
faisla aapke hath me h..
badlav laya ja skta h,
yadi ham chahe to..
think on it..

KYU KOI SAMAJHTA NI..


kyu koi samajhta ni..
is desh k dard ki bayaar ko,
kyu koi dekhta ni..
karke swarth darkinaar ko..
akela har koi yadi ladne jayega to
naye muddo k sath apne aap ko hi sabka dushman banayega..
aag sabke andar hai,
mir q har kisi ko machis ka intjar hai..
kya khud se dar lagta hai ki har jaoge?
ya dar lagta hai is bat se ki sab hasenge..
are jyada ni kar sakte ho is desh aur samaj k liye..
to utna hi kar do,
jitne surface area me tumhara adhikaar hai,
ya uske liye b tum kisi aur ko rishwat dene tyaar ho,
jo haal aaj tumhara hai,
jo halat aaj desh k hai,
sab k sirf tum khud jimmedar ho..
ye sach h,
sachhai hai yahi ki tum bhi is desh k gunehgar ho..

Q???

Q wo samajhte ni mere is nanhe dil ki tadpan ko..
Q wo samajhte ni mere is tadapte dil ki dhadkan ko..
Q????
Kya mere dil k jajbaat ojhal h unse..
Ya fir samajh na pye itne kathor h wo..
Q aakhir patthar me sir patakne k liye majboor kar rahe h..
Khud hokar udaas hame khud se door kar rahe h..

MY SENIORS

To my Beloved Seniors....

Aaj aasman khali sa h mere liye..
Aaj sirf yaha sabse oochi udaan hamari h..
Jinhone udna sikhaya
wo khud ka doosra asmaan tay karne ja rahe h..
Hame is asmaan me khud ko sabit karne chod k ja rahe h..
Ab ham kise dekhkar seekhenge..
Kise dekhne k liye  tarsenge..
Ye manjar jo aaj unka h kal hamara hoga..
Jo gulista wo chhod chale hamare liye kal us se hamara b kinara hoga..
Kisi aur ko udne ka hame b ek mauka dena hoga..


Inse bichhadne ka dukh sabko barabar h..
Qki ye b to isi daal ki kaliya the jo aaj phhol banke tyaar khade..
Magar mai kaha jau
jise inki aadat h..
Har gali, har chaubaare me inhe dekh seesh jhukaane ki fitrat h..
Mai to akela ho jaunga..
Wish karne k liye pure colg me kise paunga..
Kya kuch aur pal mai ni ruk sakta is chalte samay k sath..
Kya inka jana jaruri h..
Ya mera rukna majburi h..
Seniors k bina man lagega kahan
ab inke bina meri colg lyf hi adhoori h..

i'll miss my seniors most....
their terror,
their files,
thier hangups..
nd mostly their wishes...:(;(;(;(;(