Tuesday, 21 January 2014

kyu koi samajhta ni..

kyu koi samajhta ni..
is desh k dard ki bayaar ko,
kyu koi dekhta ni..
karke swarth darkinaar ko..
akela har koi yadi ladne jayega to
naye muddo k sath apne aap ko hi sabka dushman banayega..
aag sabke andar hai,
mir q har kisi ko machis ka intjar hai..
kya khud se dar lagta hai ki har jaoge?
ya dar lagta hai is bat se ki sab hasenge..
are jyada ni kar sakte ho is desh aur samaj k liye..
to utna hi kar do,
jitne surface area me tumhara adhikaar hai,
ya uske liye b tum kisi aur ko rishwat dene tyaar ho,
jo haal aaj tumhara hai,
jo halat aaj desh k hai,
sab k sirf tum khud jimmedar ho..
ye sach h,
sachhai hai yahi ki tum bhi is desh k gunehgar ho..