Sunday, 1 December 2013

Fairy-Father..

har kisi ko milte hai khuda ki parchai k roop me ma-baap..
koi unhe mom-dad kehta hai,
to koi unhe ammi-abbu..
koi unhe bai-babu kehta hai..
to koi unhe mummyji-papaji..
naam alag par matlab 1 hi hai in sab ka..
wo shaks jo jevan ko matlab dete hai..
jinke l;iye khusi ka matlab sirf hamare chehre pe muskan aane se hota hai..
aur dukh aur pareshani hamari har se judi hoti hai..
inke bina ham ham apni jndgi ki kalpana hi ni kar skte..
fir b aise lakho log hai jinhe inki chhaya ka laaf ni milta,
aur ham is dard ko samajhkar b anjaan bane baithe h..
1 maa jeevan ki sabse badi guru kehlati hai,
unhi se ham sab kuch seekhte hai,
1 ladki k liye uski maa ki kya value hoti hai ye is duniya me koi ni bayaan kar skta..
lekin  yadi koi is duniya me is dukh se gujra ho to??
bina maa k apne jevan ko jiya ho to..
bhut se log hai jo badi kthinaiyo se bina maa k is sansar me ldte ldte apni jagah bana paate hai..
aaj mai aapko bataunga 1 aise hi shakhs k bare me jo mere dil k bhut kareeb hai..
unhe maa ki jagah Pita ne paala..
aur wo is duniya sabse achhe combo saabit hue..
jinhone un choti choti bachhioyo ko aaj aatm-nirbhar aur majboot banaya..
1 maa ka sneh aur pita ka dulaar dono diya aur samaaj me ladkar, jhagad kar..
khud aaj khaali hath hone k wavjood unka wajood khada kiya..
aise hi h 1 jeete-jagte Fairy-Father..

No comments:

Post a Comment